Saturday, July 12, 2025

Urdu Writings Chapter 5 – “Main Theek Hoon” – The Lie We All Tell (The Unsaid Chapters)

authorImage

Sajjad Naqvi

postMainImage

"Main theek hoon."
Ek jumla.
Sirf do lafz.
Lekin iske peechay chhupi hoti hai ek poori jang
Dil ke andar chalti hui ek toofan.

Zoya Ki Kahani

Zoya office mein roz smile karti thi.
Friends ke beech hasti, stories post karti,
Aur har message ka reply sirf itna hota:

"Main theek hoon 😊"

Lekin kisi ne nahi dekha uska woh side wala drawer,
Jahan ek purani diary padhi thi…
Uske har panne pe likha tha:
“Main theek nahi hoon.”

Jab Koi Nahi Sunta

Har baar jab uska dil bhar aata,
Usne kisi dost ka number milaya…
Lekin call receive hone se pehle hi kaat diya.
Socha:

“Wo busy hoga…”
“Mujhe hi zyada feel hota hai…”
“Badtameez lagungi agar rota hua bol diya…”

Aur phir diary likhi phir royi
Aur phir mobile uthaya,
Story dali:
"Feeling blessed ✨"

Depression Selfie Nahi Leta

Zoya ko kabhi koi fracture nahi hua tha,
Is liye logon ko samajh nahi aaya
ke dard bina plaster ke bhi hota hai.

Mental health ka koi band-aid nahi hota,
Is liye sab ne kaha:
“Itna over mat socha kar.”
“Sab theek ho jayega.”
“Tujhse bhi zyada problems hain logon ke paas.”

Lekin Zoya sirf ek baat kehna chahti thi:

“Mujhe bas sunn lo… solve mat karo.”

Urdu Quote:

"Main theek hoon…
Kehkar jitni baar jhooti lagi hoon,
Utnay baar asli royi hoon."

Aakhir Mein…

Zoya ab bhi kahin hai kisi aur ke roop mein.
Wo aapke circle mein bhi ho sakti hai…
Aapke ghar mein, ya aap khud bhi.

Next time koi kahe:
“Main theek hoon.”
Toh bas aankhon mein dekho
Shayad uski aankhon mein koi cheekh chup rahi ho.

Closing Note:

This was Chapter 5 of The Unsaid Chapters for all those who say "I'm fine"
just to make the world feel comfortable…
while they themselves are silently breaking inside.

If you’ve ever said “Main theek hoon” while hiding your pain
this chapter is for you.

Chapter Number 4: click here!

Chapter Number 6 click here!

Enjoyed this article?

Leave a Comment below!