Tuesday, July 15, 2025

Urdu Writings Chapter 6 –“Usne Mujhe Bas Zarurat Samjha” – A One-Sided Love That Hurt

authorImage

Sajjad Naqvi

postMainImage

Woh meri duniya thi… aur main uska waqt. Woh mujhe tab yaad karti thi,

Jab usse kisi ki zarurat hoti thi. Uska Naam Ayesha Tha… Main use 4 saal se jaanta tha. Uske har dard ka solution main tha,

Uske har mood swing ka target bhi main tha. Woh royegi to mere kandhe par… Aur hansi aayegi to kisi aur ke text pe. Phir bhi main wahi tha available, loyal, stupid. “Tujh se baat karke dil halka ho jaata hai,” woh kehti thi. Lekin mera dil? Woh kabhi poocha hi nahi. 

Khaali Calls Aur Bharay Dil

Woh raat 2 baje text karti: “Awake?”

Aur main bina sochay reply karta: “Always for you.”

Woh kehti thi:

“Tu mere liye best friend hai.” Aur main sochta tha: Kya main kabhi “just friend” se zyada ho paunga?” Main uski har mohabbat ke dard ka marham tha… Lekin us mohabbat mein mera naam kabhi nahi tha.

Jab Usne Kaha...

Ek din usne message kiya:

“Usman ne propose kiya… Main itni happy hoon!” Main us waqt bus mein tha. Log hans rahe thay, Main toota jaa raha tha.

Reply kiya:

“So happy for you 😊

Aur phone band karke aankhon se aansu pochhne laga. “Usne mujhe sirf zarurat samjha… aur main usse zindagi.”

Urdu Quote:

“Woh kehti thi tu samajhta hai mujhe sabse zyada…

Phir bhi usne chuna usay, jo kuch bhi nahi samjhta tha.” 

Aakhir Mein…

Main ab nahi hoon uski life mein. Woh shaadi shuda hai khush bhi lagti hai. Main uski kisi memory mein bhi nahi hoon… Lekin mere andar ek tukra ab bhi usi ke naam ka hai. Ek aisi mohabbat jo sirf meri thi… Aur phir bhi adhoori thi. 

Closing Note:

This was Chapter 6 of The Unsaid Chapters 

A silent salute to every person who loved with all their heart… but only became someone’s temporary need not their forever choice. If this feels like your story… Just know, you’re not alone

And you deserve to be chosen, not used.

Chapter Number 5: click here!

Chapter Number 7: click here!

Enjoyed this article?

Leave a Comment below!